God Chalisa

                           Durga Chalisa

Namo Namo Durge Sukh Karni
Namo Namo Ambe Dukh Harni
Nirankar Hai Jyoti Tumhari
Tihu Lok Faili Ujiyari
Shashi Lalat Mukh Mahavishala
Netra Lal Brukuti Vikrala
Roop Matu Ko Adhik Suhavey
Darash Karat Jan Ati Sukhpavay

Tum Sansar Shakti Lay Kina
Paalan Hetu An Dhan Dina
Annpoorna Hui Jag Paala
Tum Hi Aadi Sundari Bala
Pralaykaal Sab Naashan Haari
Tum Gauri Shiv Shankar Pyari
Shiv Yogi Tumharey Gun Gavey
Brahma Vishnu Tumhe Nit Dhyavey

Roop Saraswati Ko Tum Dhaara
De Subuddhi Rishi Muni Ubaara
Dhara Roop Narsinha Ko Amba
Pargat Bhayee Phad Kar Khamba
Raksha Kar Prahlad Bachayo
Hirnakush Ko Swarg Pathayo
Lakshmi Roop Dharo Jag Mahi
Shri Narayan Ang Samahi

Shirsindhu Mein Karat Vilaasa
Dayasindhu Deejay Man Aasa
Hinglaaj Mein Tumhi Bhavani
Mahima Amit Na Jaat Bakhani
Maatangi Dhumavati Mata
Bhunvenshwari Bagla Sukh Daata
Shri Bhairav Tara Jag Taarini
Shin Bhaal Bhav Dukh Nivarini

Kehar Vaahan Soh Bhavani
Laangur Veer Chalat Agvaani
Kar Mein Khappar Khadag Virajey
Jaako Dekh Kaal Dar Bhaajey
Sohay Astra Aur Trishula
Jaatey Uthat Shatru Hiya Shoola
Nagarkot Mein Tumhi Birajat
Tihu Lok Mein Danka Baajat

Shumbh Nishumbh Daanav Tum Maarey
Rakt Beej Shankhan Sanhaarey
Mahishasur Narp Ati Abhimaani
Jehi Ag Bhaar Mahi Akulani
Roop Karaal Kali Ko Dhaara
Sen Sahit Tum Tihi Sanhaara
Pari Bheed Santan Par Jab Jab
Bhayee Sahay Maatu Tum Tab Tab

Amar Puri Auron Sab Loka
Tab Mahima Sab Rahey Ashoka
Jwaala Mein Hai Jyoti Tumhari
Tumhe Sada Pujey Nar Nari
Prem Bhakti Se Jo Jas Gaavey
Dukh Daaridra Nikat Nahi Aavey
Dhyavey Tumhe Jo Nar Man Laai
Janam Maran Taako Chuti Jaai

Jogi Sur-Muni Kahat Pukari
Yog Na Ho Bin Shakti Tumhari
Shankar Aacharaj Tap Kino
Kaam Aro Krodh Jiti Sab Lino
Nishdin Dhyan Dharo Shankar Ko
Kaahu Kaal Nahi Sumiro Tumko
Shakti Roop Ko Maram Na Paayo
Shakti Gayee Tab Man Pachtaayo

Sharnagat Hui Kirti Bakhaani
Jai Jai Jai Jagdamb Bhavani
Bhayi Prasan Aadi Jagdamba
Dai Shakti Nahi Kin Vilamba
Moko Maatu Kasht Ati Gero
Tum Bin Kaun Harey Dukh Mero
Aasha Trishna Nipat Satavey
Ripu Murakh Mohi Ati Dar Paavey

Shatru Naash Keejay Maharani
Sumiro Ikchit Tumhe Bhavani
Karo Kripa Hey Maatu Dayala
Ridhi Sidhi Dey Karahu Nihala
Jab Lagi Jiyo Dayafal Paau
Tumharo Jas May Sada Sunau

Durga Chalisa Jo Koi Gaavey
Sab Sukh Bhog Param Pad Paavey
Devidas Sharan Nij Jaani
Karahu Kripa Jagdamb Bhavani
Jai Mata DI
Bolo Sache Darbar Ki Jai


Shiv Chalisa
Jai Ganesh Girija suvan,
mangal mool sujan,
Kahati Ayodhyadas tum,
deu abhaya vardan.
Jai Girijapati deen dayala,
Sada karat santan pratipala.
Bhal chandrama sohati neeke,
Kanan kundal nag phani ke.

Ang gaur shiv ganga banai,
Mundamal tan kshar lagai.
Vastra khal baghambar sohe,
Chhavi ko dekh nag muni mohe.
Maina Matu ki priya dulari,
Bam ang rajat Shiv pyari.
Kar men soha trishul ati bhari,
Karahi sada shatrun samhari.

Nandi Ganesh soh tanha kaise,
Manas madhya kamal hon jaise.
Kartik shyam aur gana rauo,
Ya chhavi barnat bane na kauo.
Devan jab hee aai pukara,
Tabahin dukh prabhu ap nivara.
Keen upadrava tarak bhari,
devan sab mili tumhari pukari.

Turat shadanan ap pathayo,
Luv nimesh mahi mar girayo.
Ap Jallandhar asur sanhara,
Suyash tumhar vidit sansara.
Tripurasur sang yuddha machayi,
sabahin kripa kari leen bachayi.
Keenha tap Bhagirath bhari,
Purahi pratigya tasu purari.

Darpa chhod Ganga tab ayee,
Sewak astuti karat sadaee.
Ved naam mahima tav gayaee,
akath anadi bhed nahin payee.
Pragati udadhi manthan te jwala,
Jare surasur bhaye bihala.
Mahadeva tab kari sahayee,
Neelkantha tuv nam dharayee.

Poojan Ramchandra jab keenha,
Lanka jeet Vibhishan deenha.
Sahas kamal arpanahi vichari,
Keenha pareeksha tabahi purari.
Ek kamal Prabhu rakheu goyee,
Kamal nayan poojan chahin soyee.
Kathin bhakti dekhi Prabhu Shankar,
Bhaye prasanna deya icchhit var.

Jai Jai Jai, Ananta Avinasi,
Karat kripa sab ke ghatvasi.
Dushta sakal mohi nitya satavan,
Bharmita rahe man chain na aven.
Trahi trahi main nath pukaro,
Yeh avasar mohi, ani ubaro.
Lai trishool shatrun ko marau,
Sankat se mohi ani unarau.

Mata pita bhrat sab hoi,
Sankat mein poonchat nahi koi.
Swami ekahi aas tumhari,
Ai harahu sab sankat bhari.
Dhan nirdhan kon det sadaee,
Arat jan ki peer mitaee.
Astuti kehi vidhi karahu tumhari,
Shambunath ab tek hamari.


Shanker ho sankat ke nashan,
Vighna vinasan mangal karan.
Yogi yathi muni dhyan lagaye,
Sharad Narad Sheesh navavahin.
Namo namo jab namah Shivaye,
Sur brahmadik par na paye.
Jo yeh path kare man layee,
To kon hot hain shamboo sahayee.

Putra na ho, ichha kare koi,
Nishchaya Shiv prasad se hoi.
Pandit triyodashi ko lave,
Dhyan poorvak hom karave.
Triyodashi vrita kare hamesha,
Tan nahi take rahe kalesha.
Dhoop deep naivedya chadhavahi,
Shanker sanmukha path karavahi.
Janam Janam ki pap nasavahin,
Antawas shivpur men pavahin.


Shri Hanuman Chalisa

Shri Guru Charan Saroj RajNij mane mukure sudhar
Varnao Raghuvar Vimal Jasu
Jo dayaku phal char


Budhi Hin Tanu Janike
Sumirau Pavan Kumar
Bal budhi Vidya dehu mohe
Harahu Kalesa Vikar


Jai Hanuman gyan gun sagar
Jai Kapis tihun lok ujagar


Ram doot atulit bal dhama
Anjani-putra Pavan sut nama


Mahavir Vikram Bajrangi
Kumati nivar sumati Ke sangi


Kanchan varan viraj subesa
Kanan Kundal Kunchit Kesa


Hath Vajra Aur Dhuvaje Viraje
Kandhe moonj janehu sajai


Sankar suvan kesri Nandan
Tej pratap maha jag vandan


Vidyavan guni ati chatur
Ram kaj karibe ko aatur


Prabu charitra sunibe ko rasiya
Ram Lakhan Sita man Basiya


Sukshma roop dhari Siyahi dikhava
Vikat roop dhari lanka jarava


Bhima roop dhari asur sanghare
Ramachandra ke kaj sanvare


Laye Sanjivan Lakhan Jiyaye
Shri Raghuvir Harashi ur laye


Raghupati Kinhi bahut badai
Tum mam priye Bharat-hi sam bhai


Sahas badan tumharo yash gaave
Us kahi Shripati kanth lagaave


Sankadik Brahmadi Muneesa
Narad Sarad sahit Aheesa


Yam Kuber Digpal Jahan te
Kavi kovid kahi sake kahan te


Tum upkar Sugreevahin keenha
Ram milaye rajpad deenha
Tumharo mantra Vibheeshan mana
Lankeshwar Bhaye Sub jag jana


Yug sahastra jojan par Bhanu
Leelyo tahi madhur phal janu


Prabhu mudrika meli mukh mahee
Jaladhi langhi gaye achraj nahee


Durgaam kaj jagat ke jete
Sugam anugraha tumhre tete


Ram dware tum rakhvare,
Hoat na agya binu paisare


Sub sukh lahai tumhari sarna
Tum rakshak kahu ko dar na


Aapan tej samharo aapai
Teenhon lok hank te kanpai


Bhoot pisach Nikat nahin aavai
Mahavir jab naam sunavai


Nase rog harai sab peera
Japat nirantar Hanumant beera


Sankat se Hanuman chudavai
Man Karam Vachan dyan jo lavai


Sub par Ram tapasvee raja
Tin ke kaj sakal Tum saja


Aur manorath jo koi lavai
Sohi amit jeevan phal pavai


Charon Yug partap tumhara
Hai persidh jagat ujiyara


Sadhu Sant ke tum Rakhware
Asur nikandan Ram dulhare


Ashta sidhi nav nidhi ke dhata
Us var deen Janki mata


Ram rasayan tumhare pasa
Sada raho Raghupati ke dasa


Tumhare bhajan Ram ko pavai
Janam janam ke dukh bisravai


Anth kaal Raghuvir pur jayee
Jahan janam Hari-Bakht Kahayee


Aur Devta Chit na dharehi
Hanumanth se hi sarve sukh karehi


Sankat kate mite sab peera
Jo sumirai Hanumat Balbeera


Jai Jai Jai Hanuman Gosahin
Kripa Karahu Gurudev ki nyahin


Jo sat bar path kare kohi
Chutehi bandhi maha sukh hohi


Jo yah padhe Hanuman Chalisa
Hoye siddhi sakhi Gaureesa


Tulsidas sada hari chera
Keejai Nath Hrdaye mein dera *1


Pavantnai sankat haran,
Mangal murti roop.
Ram Lakhan Sita sahit,
Hrdaye basahu sur bhoop.











Stats